*Ek shakhs ne Rasulullah ï·º ki khidmat mein aa kar arz kiya: Ya rasool Allah ! falan shakhs lambi namaz padhate hain is liye mein ( jamaat ki ) namaz mein shareek nahi ho sakta ( kyunki mein din bhar oont charanay ki wajah se raat ko thak kar chakna chur ho jata hu aur lambi qiraat sunnay ki taaqat nahi rakhta ). Ravi(hadees byan krne wale) kehte hai ki is din se zyada maine kabhi Rasulullah ï·º ko waaz ke douran itna gazab naak(ghusse me) nahi dekha. Aap ne farmaya aye logo! tum (aisi shiddat ikhtiyar kar ke logon ko deen se) nafrat dilanay lagey ho. (sun lo) jo shakhs logo ko namaz parhaye to woh halki parhaye, kyunki un mein bemaar, kamzor aur haajat walay ( sab hi qisam ke log ) hotay hain.*
(Sahih Bukhari:90)
No comments:
Post a Comment