Skip to main content

Islamic status on Dua: Dua yakin ke sath karo aur Dua mein jaldi mat karo

*Dua kaise Mangna Chahiye?* 🤲🤲
------------------------------------------
👉 Anas(R.A) se bayan hai ke, 
Huzur(ﷺ) ne farmaya:- *Jab tumme se koi dua kre to Allah se katayi(determination/قطعی) taur pr mange or yeh nah kahe ke Aey Allah! Agr tu chahe to mjhe ata farma kyun ke Allah pr koi zabardasti krne wala nahi hai.*
📚[SAHIH BUKHARI, 6338]

👉Abu Huraira(R.A) se bayan hai ke, Huzur(ﷺ) ne farmaya:- *Tumme se koi shakhs is tarah nah kahe ke Aey Allah! Agr tu chahe to mujhe mauf krde, meri maghfirat krde. Balke yakin ke sath dua kre kyun ke Allah pr koi zbrdasti krne wala nahi hai.*
📚[SAHIH BUKHARI, 6339]

👉Abu Huraira(R.A) se bayan hai ke, Huzur(ﷺ) ne farmaya:- *Bande ki dua qabul hoti hai jab tak ke wo jaldi nah kre, ke kehne lage ke mene dua ki thi or meri dua qabul nhi hoti.*
📚[SAHIH BUKHARI, 6340]
*[ हर बात दलील के साथ]*

450 Good morning messages for status and sharing